balle-baz

jab padhai karte karte bor ho jata hun main
dab kar balla baghal mein field par aata hun main

phir nahin duniya-o-ma-fiha ka kuchh rahta khayal
khelta jata hun main bas khelta jata hun main

dead pitch ho ya slow bowler to mere aish hain
fast pitch aur tez bowler ho to ghabraata hun main

in cutter out cutter se ho ke bilkul be-niyaz
band kar ke aankh bas balla ghuma jata hun main

jab main chhakka marta hun aur wo ho jata hai catch
apni is diwangi par jhenp sa jata hun main

forward jata hun main gugli uthane ke liye
aqab mein apne magar wicketen giri pata hun main

century ka garche le kar dil mein jata hun khayal
lekin aksar le kar anda hi palat aata hun main

ho ke ab mohtat main khelunga agle match mein
har dafa ye kah ke apne dil ko samajhta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close