farangi jaridon ke auraq-e-rangin hansti, lachakti, dhadakti, lakiren katile badan tegh ki dhaar jaise! lahu ras mein gundhe hue jism, resham ke ambar jaise! nigah jin pe phisle, wo shane wo bahen mudawwar uthanen, munawwar dhalanen, har ek naqsh mein zist ki tazgi hai har ek rang se khaulti aarzuon ki aanch aa rahi hai! khutut-e-barahana ke in aainon mein hasin paikaron ke shaffaf khake ki jin ke sajal rup mein khelti hain wo khushiyan jo sadiyon se bojhal ke ojhal rahi hain! unhen phunk degi be-mehr duniya farangi jaridon ke auraq-e-rangin ko ek bar hasrat se tak lo phir un ko hifazat se apne dilon ke muqaffal daraazon mein rakh lo!