barf ka aadmi

kuchh baras us par ka qissa hai
doston ki bazm mein ek din bade da’we

se main ne kah diya tha
dar-asl wo andar se be-tartib hote hain

tute phute hote hain
apne gharon mein jo har ek shai ko saliqe se saja rakhte hain

shikasta chiz ho koi
fauran utha kar phenk dete hain

aur aaj main mahsus karta hun
idhar kuchh din se mujh mein bhi

chizon ko saliqe se sajae rakhne ki tahrik paida ho rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close