bashar zinda hai

meri basti mein bahut der se sannata hai
na kahin nala-o-shewan na koi shor-e-buka

par kahin dur bahut dur kisi kuche se
haule haule sisakne ki sada aai hai

sun ke ye girya-e-uftada tasalli si hui
meri basti mein abhi koi bashar zinda hai

khatm ho jaegi ye raat sahar zinda hai
kya ajab ki yahi mauhum si aawaz

yahi siskari
ek din shor-e-buka ban jae

ek elan-e-wagha ban jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close