bata teri ghiza kya hai

agar dawat ho khane ki to is mein sochna kya hai
nahin gar ye khuda ki den to is ke siwa kya hai

jo ghar mein dal roti roz hi khae bila-nagha
wahi jaanega biryani matanjan mein maza kya hai

mera ye mashwara tu man le hoga bhala tera
kabhi ye bhul kar mat dekh dastar pe rakha kya hai

muqaddar mein jo likha hai tere kha le use dat kar
takalluf to sarasar ek aziyyat ke siwa kya hai

samajh le nam tera hi likha hai dane dane par
kabhi mat soch meade ke liye achchha bura kya hai

tu hifz-e-ma-taqaddum aur itminan ki khatir
pakad kar mezban ko puchh le aakhir paka kya hai

kabhi tu ne padha bhi hai mere kapde ke dastar par
jali harfon ki jo tahrir hai us mein likha kya hai

shikam ko kar wasia itna ki har pakwan se pahle
tujhe khud mezban puchhe bata teri ghiza kya hai

mujhe khane ke fauran baad hi phir bhuk lagti hai
koi to ye batae 'khwah-makhwah' mujh ko hua kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close