be-nam

mere khayal teri rahbari jawan rahe
tere tufail mere dil ko kuchh sukun to mila

main kya hun is ki khabar kuchh mujhe hai aur na tujhe
magar kahan hun tujhe is ka ilm ho shayad

mujhe bas itna bata de hai kaun sa ye dayar
meri nigah ki rag rag mein hai pareshani

tasawwuraat ke khamosh se dhundalkon mein
nuqush bante hain mitte hain aur main hairan hun

dil-e-hazin pe kisi aah ka nuzul nahin
ki mere lab to fughan ki ada bhi bhul gae

kahan gae wo jawan aarzuon ke maqtal
meri nigah ke aawara qasido aakhir

kahan gae wo meri hasraton ke sune mazar
kahan ke ashk kahan ka alam kahan ki fughan

yahan ajib si taskin dil ko milti hai
sukut hai ki har ek rag ko de raha hai sukun

agar fusun hai to kitna hasin hai ye fusun
ye khwab hai to ye mera nasib ho jae

tamam umr agar us ki aarzu bhi kare
mujhe yaqin hai koi phir bhi kaamyab na ho

mere khayal yahan aa gaya hun main kaise
mujhe bas itna bata de hai kaun sa ye dayar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close