main jab chhota tha apni man se aksar zid ye karta tha sunao dopahar mein tum mujhe koi kahani koi aisi kahani jis mein shahzadi ho tum jaisi koi aisi kahani simiya-gar jis mein shahzada ho mujh jaisa wo kahti be-khabar malum bhi hai sunata hai agar dopahar mein koi kahani to bechaare musafir ghar ka rasta bhul jate hain mein ab bachcha nahin man bhi nahin na koi pariyon ki kahani bas ek khwabon ki nagri aur ek bhatka musafir