biwi aur patlun

begam se kaha hum ne jo fursat hai aap ko
patlun mein hamari batan ek tank do

ghusse se bolin aap hi khud tank len janab
biwi ka jab mazaq udate rahe hain aap

biwi baghair aadmi hote nahin pure
main na rahun to aap bhi rah jaen adhure

yun to batan ka tankna chhota sa kaam hai
ye kaam bhi to laeq-e-sad-ehtiram hai

mardangi ki shan na itni baghaariye
sui mein sirf dhaga piro kar dikhae

patlun mein jo aap batan khud lagaenge
ungli chubho ke sui mein khun mein nahaenge

socho batan baghair jo patlun pahante
patlun phisalti to kya sab log na hanste

patlun mein tumhaari batan kaun tankti
duniya mein tum batao jo aurat hi na hoti

hum ne kaha ki apni badai na hankiye
chhoti si hai ye baat na aage badhaiye

patlun mein bas ek batan tankne ka tha
patlun ko batan mein nahin tankne ka tha

ghusse ko thuk dije meri baat maniye
khai mein yun bahas ki khudara na jhankiye

gar is bahas ka khatma hona zarur hai
jo baat sach hai aap ko sunna zarur hai

aurat agar na hoti to jannat hi mein rahte
duniya mein aa ke is tarah dukh-dard na sahte

shadi byah ka hamein khatra bhi na hota
sirf ek batan ko tankne ka nakhra bhi na hota

biwi ya us ki bahan ho ya ho kisi ki sas
tum ho isi liye to pahante hain hum libas

mardon ko agar duniya mein aurat hi na hoti
patlun pahanne ki zarurat hi na hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close