main tere khwabon ki dost thi yaad hai tu ne meri banhon mein baaton ke gajre pahnae the tu ne mera jhuta pani pi ke mere hont sunahre chamkae the tere ghar mein aai thi harf bhi wasl ke pairae the kachche pyale pe munh rakh ke main ne pyas ki khushbu sunghi os ne did se rishta bandha ras ne rang ki choli pahni ghar mein khwab ki shakh laga ke socha tha diwar dhakegi bail umr ya chadh jaegi kitne mithe khwab the jin ka zikr karo to hont kasile kitne anokhe rishte the wo khwab se sachche khwab se jhute jina-marna dhong purana bichhad ke tujh se wo bhi jiyega tu bhi hansnegi zinda rahegi us ke ghar bhi sabha sajegi