chalo chhodo mohabbat jhut hai ahd-e-wafa ek shaghl hai be-kar logon ka talab sukhe hue patton ka be-raunaq jazira hai khalish dimak-zada auraq par bosida satron ka zakhira hai khummar-e-wasl tapti dhup ke sine pe udte baadalon ki raegan bakhshish! ghubar-e-hijr-e-sahra mein sarabon se ate mausam ka khamyaza chalo chhodo ki ab tak main andheron ki dhamak mein sans ki zarbon pe chahat ki bina rakh kar safar karta raha hunga mujhe ehsas hi kab tha ki tum bhi mausamon ke sath apne pairahan ke rang badlogi chalo chhodo wo sare khwab kachchi bharbhari mitti ke be-qimat gharaunde the wo sare zaiqe meri zaban par zakhm ban kar jam gae honge tumhaari ungliyon ki naram poren pattharon par nam likhti thin mera lekin tumhaari ungliyan to aadatan ye jurm karti thin chalo chhodo safar mein ajnabi logon se aise hadse sarzad hua karte hain sadiyon se chalo chhodo mera hona na hona ek barabar hai tum apne khal-o-khad ko aaine mein phir nikharne do tum apni aankh ki basti mein phir se ek naya mausam utarne do mere khwabon ko marne do nai taswir dekho phir naya maktub likho phir nae mausam nae lafzon se apna silsila jodo mere mazi ki chahat raegan samjho meri yaadon se kachche rabte todo chalo chhodo mohabbat jhut hai ahd-e-wafa ek shaghl hai be-kar logon ka