chand roz aur meri jaan

chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz
zulm ki chhanw mein dam lene pe majbur hain hum
aur kuchh der sitam sah len tadap len ro len
apne ajdad ki miras hai mazur hain hum
jism par qaid hai jazbaat pe zanjiren hain
fikr mahbus hai guftar pe taziren hain
apni himmat hai ki hum phir bhi jiye jate hain
zindagi kya kisi muflis ki qaba hai jis mein
har ghadi dard ke paiwand lage jate hain
lekin ab zulm ki miad ke din thode hain
ek zara sabr ki fariyaad ke din thode hain
arsa-e-dahr ki jhulsi hui virani mein
hum ko rahna hai pe yunhi to nahin rahna hai
ajnabi hathon ka be-nam giran-bar sitam
aaj sahna hai hamesha to nahin sahna hai
ye tere husn se lipti hui aalam ki gard
apni do roza jawani ki shikaston ka shumar
chandni raaton ka bekar dahakta hua dard
dil ki be-sud tadap jism ki mayus pukar
chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz
This is a great aap ke jazbaat shayari. True lovers of himmat bhari shayari in hindi will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this roza shayari images is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close