chanda-mama tum ko mama nahin kahunga nahin kahunga mange ka ujyala tum mein bin mange sab kala tum mein banjar dharti banjar kheti mausam kab hariyala tum mein main achchhi dharti ka malik chanda-mama tum ko mama nahin kahunga nahin kahunga baadal se ghabraate ho tum dar dar kar chhup jate ho tum tum se kya ummiden rakhna kab jao kab aate ho tum main hun ek bahadur bachcha chanda-mama tum ko mama nahin kahunga nahin kahunga charkhe wali budhiya nani charkhe le kar kahan gai hai aaj tumhaari shan purani sab jhuti thi nahin rahi hai kyun tum jhuti shan dikhate chanda-mama tum ko mama nahin kahunga nahin kahunga