waqt aa gaya ab raat ka phir tham gai chalti hawa khamosh hai sari faza chaaron taraf ek nur sa barsa rahi hai chandni dekho wo baadal aa gae aur chand par bhi chha gae is nur ke aanchal mein ab is qaid is baadal mein ab ghabra rahi hai chandni ai lo wo baadal chhat gae aur chand par se hat gae har har dar-o-diwar par dariya pe aur kohsar par phir chha rahi hai chandni ab to subh hone lagi kuchh badh chali hai raushni rukhsat hue tare bhi sab roti hui shabnam ko ab bahla rahi hai chandni