mota sa ek baje wala chalta chalta jangal aaya jangal mein koyal rahti thi pinjre mein band wo baithi thi baje ko dekh ke chahki wo muddat ke baad hi boli wo tu baja baja main gaungi naghme main achchhe sunaungi koyal ne yun gana gaya baje wala bhi mast hua thi pas hi ek chidiya baithi gana sun ke wo kahne lagi koyal-bi tum ko hai aata kitna achchha gana gana aawaz tumhaari pyari hai sari duniya se nyari hai tum khud hi git banati ho tum khud hi achchha gati ho tum kyun is baje wale ko kahti ho saz bajaane ko phir ek din ye baje wala har ek se ye kahta hoga main ne hi ja kar sikhlaya koyal ko bhi gana gana meri mano ek kaam karo tum raushan apna nam karo pinjre se nikal bahar aao tum dali dali khud gao ye sun ke koyal bhi hans di chidiya se phir wo yun boli kya koi hunar bhi bin sikhe aata hai kisi ko chupke se jab mashq nahin karta koi mahir nahin ban sakta koi jis ne kiya apne fan ko yaad aakhir wahi kahlaya ustad