likhane nam sachche aashiqon mein jab bhi hum nikle iradon mein hamare jaane kitne pech-o-kham nikle ye socha tha ki ghar se bhag kar shadi rachaen magar jab waqt aaya to na wo niklen na hum nikle suna hai raste hi mein police ne dhar liya un ko hamare dil pe jab karne ko wo mashq-e-sitam nikle dimagh un ka jo dekha aur dil ki bhi talashi li kai pistol nakhron ke kai ghusse ke bam nikle jhagad kar jab kaha begam ne hum se ghar se jaane ko bahut be-abru ho kar khud apne ghar se hum nikle jo hota aur koi to nikal jata wo ghusse mein magar hum ba-dil-nakhwasta ba-chashm-e-nam nikle hamara hausla to dekhiye ki lunj khae hi nahin lautenge ab hum sham tak kha kar qasam nikle magar jab sham se pahle hi bhuke pet laut aae wo tana de ke bolin aap to sabit-qadam nikle zamane ke satae hain jo logon ko hansate hain kureda jab bhi dil un ka hazaron gham hi gham nikle karam ki baat hai mere gunah aamal-name mein ye socha tha bahut honge magar dekha to kam nikle budhape mein bhi meri 'khwah-makhwah' aakhiri khwahish hon ghar mein biwiyan itni ki har biwi pe dam nikle