chamak rahe hain daranti ke tez dandane khamida hal ki ye alhad jawan nur-e-nazar sunahri fasl mein jis waqt ghota-zan hogi to ek git chhidega musalsal aur daraaz 'nadim' azal se hai takhliq ka yahi andaz sitare boe gae aaftab kate gae hum aaftab zamir-e-jahan mein boen ge to ek roz azim inqalab katenge koi batae zamin ke ijara-daron ko bula rahe hain jo guzri hui bahaaron ko ki aaj bhi to usi shan-e-be-niyazi se chamak rahe hain daranti ke tez dandane sunahri fasl tak us ki chamak nahin mauquf ki ab nizam-e-kohan bhi usi ki zad mein hai khamida hal ki ye alhad jawan nur-e-nazar jab is nizam mein lahra ke ghota-zan hogi to ek git chhidega musalsal aur daraaz 'nadim' azal se hai takhliq ka yahi andaz sitare boe gae aaftab kate gae