dard-e-mushtarak

mizha-e-khar pe kis tarah bhala pae qarar
aariz-e-gul pe na jab qatra-e-shabnam thahre
hadsa hai ki dar aai ye masarrat ki kiran
warna is dil pe the tariki-e-gham ke pahre
dard-e-mahrumi-e-jawed hamari qismat
rahat-e-wasl-o-mulaqat ke dar band rahe
sal-ha-sal riwayat ke zindanon mein
kitne biphre hue jazbaat nazar-band rahe
sim-sim-e-sim se khul jate hain uqdon ke pahad
jagmaga uthte hain phulon ke diye sahra mein
ghaza-e-zar se hai rukhsar-e-tamaddun ka nikhaar
dil to ek jins-e-faromaya hai is duniya mein
chadhte suraj ke parastar hain duniya wale
dubte chand ko bin dekhe guzar jate hain
kaun jude mein sajata hai bhala dhul ke phul
shakh ke khar bhi aankhon mein jagah pate hain
tu meri hai ki yahan koi nahin tha mera
main tera hun ki tujhe koi bhi apna na saka
kitni pyari hai suhani hai ye duniya jis mein
tu bhi thukrai gai mujh ko bhi thukraya gaya
This is a great pyari shayari fb. True lovers of zindagi shayari pic will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this ghazal shayari in english is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close