kaun sa station hai? dasna hai sahib-ji aap ko utarna hai? ji nahin, nahin, lekin dasna to tha hi wo mere sath 'qisar' thi ye badi badi aankhen ek talash mein khoi raat bhar nahin soi jab main us ko pahunchane is ujad basti mein sath le ke aaya tha main ne un se phir puchha aap mustaqil shayad dasna mein rahte hain? ji yahan pe kuchh meri sut ki dukanen hain kuchh taam-khane hain main suna kiya baitha bolta raha wo shakhs kuchh zamin-dari hai mere bap dada ne kuchh makan chhode the un ko bech kar main ne karobar khola hai is haqir basti mein kaun aa ke rahta tha lekin ab yahi basti bambai hai dilli hai qimaten zaminon ki itni badh gain sahib ek zamin hi kya hai khane pine ki chizen aam jine ki chizen bhao das-gune hain ab bolta raha wo shakhs is qadar girani hai aag lag gai jaise aasman had hai bas main ne chaunk kar puchha aasman mahl tha ek sayyadon ki basti mein aasman nahin sahib ab mahl kahan hoga? hans pada ye kah kar wo mere zehn mein us ki baat pai-ba-pai gunji ab mahl kahan hoga is dayar mein shayad 'qaisar' ab nahin rahti wo badi badi aankhen ab na dekh paunga mulk ka ye batwara le gaya kahan us ko dewdhi ka sannata aur hamari sargoshi mujh se kitne chhote ho main ne kuchh kaha tha phir us ne kuchh kaha tha phir hai raqam kahan wo sab dard ki giran-jaani meri shola-afshani us ki jalwa-samani hai raqam kahan wo ab karb-e-zist sab mera guftugu ka dhab mera us ka hath hathon mein le ke jab main kahta tha ab chudao to jaanun rasm-e-bewafai ko aaj mo'tabar manun us ko le ke bahon mein jhuk ke us ke chehre par bhench kar kaha tha ye bolo kaise niklogi meri dastaras se tum mere is qafas se tum bhure baadalon ka dal dur udta jata hai ped par kahin baitha ek parind gata hai chil-chil ek gilahri ki kan mein khatakti hai rail chalne lagti hai rah ke darakhton ki chhanw dhalne lagti hai mujh se kitne chhote ho aur meri giran-goshi dewdhi ka sannata aur hamari sargoshi hai raqam kahan wo sab? dur us parinde ne apna git dohraya aaj hum ne apna dil khun kiya hua dekha gum kiya hua paya