main tumhaare faisle ka hasil hun tum mujh se be-wajh ulajhte ho main ne jo tumhein kaamyabiyan din khushiyan ata kin use kyun nahin shumar karte tumhaari harkaton se dar aane wali zindagi bhar ki nakaamiyan talkhiyon ki surat jab tumhaare rag-o-pai mein paiwast ho chuki hain to tum mujh se ulajh rahe ho tum ye samajhte ho ki main koi aazad parinda hun jo jab chaha jahan chaha subh-o-sham kar liya nahin main ek zimmedar mausam ki tarah apni ungliyon mein hua ke dor lipta kar daman-e-asman par naqsh-o-nigar bana deta hun