mere andar mere aage pichhe bhi main hun zamanon ke sayon ki wusat samete mera daera apne imkan ki had pe nauha-kunan hai jahan dhund ke sath bahti hui maut ab ek jangal banae khadi hai meri aankh mein munjamid khauf tahlil hone ko tayyar hai ye wo lamha hai jis ki gawahi ki namkini mera halal badan hai magar kya ye mere liye hai? kisi aur ki aankh mein khauf tahlil hone ko tayyar bhi hai? mere andar mere aage pichhe koi aur bhi hai? jahan main khada hun wahan maut ki ungliyan jangali khauf bunne mein masruf hain yahan se bahut dur ek nil-gun jhil mein tairti machhliyan apni aankhon ki hairaniyan saf shaffaf, pani mein yun gholti hain mere hont jaise kisi jism ke aaine ke tahayyur ko toden wahan koi taza hawaon ke dariya mein tairak hone ki khwahish jagata hai lekin jahan main khada hun wahan zindagi dhundne ki mashaqqat (mashiyat) hamein zinda rahne pe majbur to kar rahi hai magar aasmanon pe nazren jamae hue hum ko patthar chabane ka aadi banae hue