bahaar-e-be-khizan dilli pe qurban nishat-e-jawedan dilli pe qurban shamim-e-gulsitan dilli pe qurban zamin-o-asman dilli pe qurban mera dil meri jaan dilli pe qurban yahan har khar sarw-o-yasman hai yahan har jada aaghosh-e-chaman hai yahan har zarra surat ki kiran hai nujum-o-kahkashan dilli pe qurban mera dil meri jaan dilli pe qurban mahakti wadiyan rangin nazare nazaron mein mohabbat ke ishaare suhani subh jamuna ke kinare khum-e-ab-e-rawan dilli pe qurban mera dil meri jaan dilli pe qurban wo thandi raat wo aariz wo gesu faza mein pur-fishan sanson ki khushbu nashili karwaten makhmur pahlu sharab-e-arghawan dilli pe qurban mera dil meri jaan dilli pe qurban salone hont aur wade suhane nigah masum aur kamsin nishane mahakte jism khushbu ke khazane chaman-zar-e-jinan dilli pe qurban mera dil meri jaan dilli pe qurban mere ahd-e-mohabbat ki nishani saloni sanwli gul-rang dhani yahan gum ho gai meri jawani dil-e-kaun-o-makan dilli pe qurban mera dil meri jaan dilli pe qurban