din ke rup mein raat kahani

raat ke phaile andhere mein koi saya nahin
jhilmilate hue kamzor sitare ye kahe jate hain

chand aaega to sae bhi chale aaenge
raat ke phaile andhere mein koi saya nahin hota hai

raat ek baat hai sadiyon ki kai sadiyon ki
ya kisi pichhle janam ki hogi

raat ke phaile andhere hain koi saya na tha
raat ka phaila andhera muhtaj

ek bhikari tha usi pahli kiran ka jo larazte hue aati hai jaga deti hai
soe sayon ko utha deti hai bedari mein

zist ke hilte hue jhumte aasar nazar aate hain
zist se pahle magar baat koi aur hi thi

raat ke phaile andhere mein koi saya na tha
chand ke aane pe sae aae

us ke bikhre hue gesu sae
laj ki mithi jhijak bhi saya

aur bhi sae the halke gahre
kali aankhon ki ghaneri palken

apne aaghosh mein sayon ko liye baithi thin
aur un sayon mein mahsus hua karta tha

dil ka gham dil ki khalish dil ki tamanna har shai
ek saya hai larazta saya

aur mujhe dekhne par us ki ghaneri chup-chap
ek saya hi nazar aati thi

aisa ek saya jo khamosh raha karta ho
aur use dekhte hi main bhi to ek saya hi ban jata tha

saya khamosh raha karta hai
aur ek larzish-e-betab ke hone pe bhi khamoshi hi

rah mein meri inan-gir hua karti thi
us ke bikhre hue gesu sae

laj ki mithi jhijak bhi saya
aur bhi sae the halke gahre

kali aankhon ki ghaneri palken
apne aaghosh mein sayon ko liye baithi thin

aur un sayon mein mahsus hua karta tha
dil ka gham dil ki khalish dil ki tamanna har shai

ek saya hai larazta saya
aur mujhe dekhne par us ki ghaneri chup-chap

ek saya hi nazar aati thi
aisa ek saya jo khamosh raha karta ho

aur use dekhte hi main bhi to ek saya hi ban jata tha
saya khamosh raha karta hai

aur ek larzish-e-betab ke hone par bhi khamoshi hi
rah mein meri inan-gir hua karti thi

sidha jata hua rasta bhi to ek saya tha
us pe aate hue jate hue insan tamam

dhundle sae the magar sae the
main bhi jata hua aata hua ek saya tha

main bhi ek saya tha kis ka saya
kis ke qadmon se lipatte hue chup-chap chala jata tha

kah to dun dil mein ye ghamnak khayal aata hai
saya khamosh raha karta hai

raat ke sae hi khamosh raha karte hain
din ke sae to kaha karte hain

biti lazzat ki kahani se
aur meri masti bhi ab din ka hi ek saya hai

jis ke ek kinare ko shua sozan
apni shiddat se jalane pe mitane pe tuli baithi hai

kash aa jae ghata chhae ghata aur ban jae
chadhte suraj ka zawal

chadhta suraj ye bata deta hai
badhte sae hain kisi ke ghammaz

bahte bahte ye kahe jate hain
raat ke jage hue soe hue uthe hain

dhup khate hue latke latke
jab koi pairahan aawezan

ek jhonke se laraz uthta hai
ham-nawai ko larazta hua saya bhi kahe jata hai

biti lazzat ki kahani sab se
biti lazzat bhi mere waste ek saya hai

kisi suraj ke tale aate hue baadal ka
sarsaraate hue jhonke ki tarah aata hua jata hua

baaten karne ko wo ek pal bhi nahin rukta tha
din ka saya tha use raat ki ek baat bhi malum na thi

raat ek baat hai sadiyon ki kai sadiyon ki
aur ab din hai mujhe sae nazar aate hain

bolte sae nazar aate hain
jaane pahchane hain phir bhi nae mafhum samjhate hain samjhate hi chale jate hain

phir palat aate hain
jaise main jata tha aur ja ke palat aata tha

isi raste pe jo ek saya tha
rasta aaj bhi saya hai magar ek naya saya hai

rah mein ek makan
wo bhi saya hai udasi ka ghanera sunsan

rah mein aati hui har murat
ek saya hai chudail

hur ka us mein koi aks nazar aata nahin
dekhte hi jise main kanp utha karta hun

aankhon mein khun utar aata hai
samne dhund si chha jati hai

dil dhadakta hi chala jata hai
aur main dekhta hun

sae milte hue ghulte hue kuchh bhut se ban jate hain
hinhinate hue hanste hain pukar uthte hain

dil mein kya dhyan yahi hai ab bhi
dil mein kya dhyan yahi hai ab bhi

saya khamosh raha karta hai
dekh hum bolte hain bolte sae hain tamam

hum se bach tu kahan jaega
aur main kanp utha karta hun

aur wo bolte hain
kanp utha hai larazta hai ye buzdil nakaam

baat karta hi nahin hai koi
ab bhi shayad ye samajhta hai larazte dil mein

saya khamosh raha karta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close