aai diwali aai diwali git khushi ke gao andhiyare ko dur karo tum ghar ghar dip jalao sita ram ki rahon ko ab phulon se mahkao chaudah baras mein laute ghar ko lachhman sita ram aaj har ek nar-nari ke lab par hai unhin ka nam bazaron mein laga hua hai diwali ka mela koi kharide bartan bhande koi shaal doshaala koi kharide aatish-bazi koi gulon ki mala chaudah baras mein laute ghar ko lachhman sita ram aaj har ek nar-nari ke lab par hai unhin ka nam dulhan ki manind saje hain mandir aur shiwale puja ka saman sajae aae hain matwale daya dharm ka dan karenge aaj yahan dil wale chaudah baras mein laute ghar ko lachhman sita ram aaj har ek nar-nari ke lab par hai unhin ka nam har mazhab har dharm ke bande gale milan ko aaen zat-pat ke mat-bhedon ko dil se aaj mitaen ek hain sare bhaarat-wasi duniya ko dikhlaen chaudah baras mein laute ghar ko lachhman sita ram aaj har ek nar-nari ke lab par hai unhin ka nam