idhar na aao ki ye mahal ab shikast-e-shaukat ki dastan hai ki ye mahal ab shikast-e-aqdar ka nishan hai ki ye mahal ab shikast-e-afkar ki fughan hai udhar na dekho ki ye khandar hai jinnon ka bhuton ka aastan hai ki ye umangon ki be-basi ki badi tawil ek dastan hai ki ye hai maskan siyah raaton ka har taraf bas dhuan dhua hai udhar jhanko shikasta inton ki in daraazon mein chandni bhi sisak rahi hai andheri raaton ki kali nagin siyahiyon mein chamak rahi hai kiran kiran ka lahu pie hai to mast hai aur bahakr rahi hai jo pahle tum us mahal mein aate to rang o naghma ke sail pur nur se guzarte to aarzu ki sharab mein dubte ubharte rasili banhon mein mithe sapnon ki dub kar kis sukun se marte jo pahle us samt se guzarte to aarzuon ke naghma-e-dil nashin ko sunte bahut hi rote aur aansuon se kai nae khwab apne bunte aur ek be-nam kaif-e-masti mein du bkar apne sar ko dhunte jo pahle us dard ko khatkate hasin ummidon ke pasban tum ko rang o bu ka payam dete hare bhare sarw tum ko pariyon ke shazade ka nam dete ya baam o dar hans ke tum ko pariyon ke shahzade ka nam dete aur ab jo aae ho kya milega nigar khana ujad chuka hai wo sari mahfil ukhad gai hai wo nikhat aarzu bhi diwana war har-su bhatak rahi hai amin thi jo dard-e-bekaran ki wo aah ghat ghat ke mar chuki hai aur ab yahan kis ko dhundte ho yahan pe tum chikhte rahoge jawab koi nahin milega yahan pe dhundte rahoge ye khwab koi nahin milega yahan pe sher o sharab o chang o raubab koi nahin milega yahan pe kis ko bula rahe ho yahan tumhaari sadao ke khol gunj ban kar uda karenge wo khokhli gunj tum se puchegai aap yan aa ke kya karenge daro ge khud apne saye se tum to bhut tum par hansa karenge udhar na aao udhar na aao yahan pe tum aa ke kya karoge yahan pe bhuton ka raqs dekhoge aur phir aap hi daroge daroge aa kale ka kale sayon ka raqs diwar ki daraazon se dekh kar tum bahut hansoge bahut hansoge ye ek diwar-e-qahqaha
This is a great shaukat thanvi shayari. Please share if you liked this!!!