kisi hansti bolti jiti-jagti chiz par ye ghamand kya ye guman kyun kahin aur aap ki jaan kyun ye to silsile hain usi fareb-e-khayal ke gham zat-o-khair-o-jamal ke wahi pher ahl-e-sawal ke aji thik hai ye wafa ka zahr na gholiye are aap jhut hi boliye nahin sab ke bhed na kholiye koi kya kare na milen jo rang hi rang se daro apne ji ki umang se kate kyun nigah patang se kabhi bekasi ko pukarte hain shajar hajar mere pas kuchh bhi nahin magar badi zindagi hai idhar-udhar ye sambhalte hathon main kanpti hai kaman kyun ye sarak rahi hai machan kyun ye khisak rahe hain makan kyun