diye ki lau tharthara rahi hai ye sham-e-gham hai ki aafaton ki sahar hui hai fasil-e-shab par udas jugnu kisi musafir ki rah tak kar luta chuka hai tamam raushan bahaar apni parinde udne ko muztarib hain maweshi-khanon mein phir machi hai ajib halchal jo bachche maon ki chhatiyon se lipat ke soe the jag uthe hain wahi tadap bhuk ki wo shiddat azan sehn-e-chaman mein deta hai murgh aise kisi ko jaise koi fasana suna raha hai utho andhera bahut hai lekin charagh le kar talash karna hai tum ko suraj diye ki lau tharthara rahi hai