dudhiya rang ke qumqume dudhiya raushni jamuni rang shishon pe ye raushni ka dhuan zehn ki dhimi dhimi sulagti hui aag ka imtihan kuchh gray rang ke suit kuchh champai sariyan dast-e-nazuk mein dast-e-saba adh-khili khwab-alud aankhon mein afsane na-khwasta guftugu ham-nashini se angdai ke sath pahlu tahi jazb karti pasine ko barqi hawa sarsaraate hue aanchalon se shafaq rang jismon ki uthti mahak aur lata ek manus aawaz ki dhaar classici lahron se uth kar dilon mein utarti hui naghmagi shahd aahang hai naghmagi nikhat-o-rang hai mez par shoala-e-tur hai sartre self mein band hai kag udati hui botalon ka surur aagahi ke liye zahr hai