mujhe maut aaegi, mar jaunga main, tujhe maut aaegi, mar jaegi tu, wo pahli shab-e-mah shab-e-mah-e-do-nim ban jaegi jis tarah saz-kohna ke tar-e-shikasta ke donon sire dur ufuq ke kinaron ke manind bas dur hi dur se thartharaate hain aur pas aate nahin hain na wo raaz ki baat honton pe late hain jis ne mughanni ko daur-e-zaman-o-makan se nikala tha, bakhshi thi khwab-e-abad se rihai! ye sach hai to phir kyun koi aisi surat, koi aisa hila na tha jis se hum aane wale zamane ki aahat ko sun kar wahin us ki yurish ko sapnon pe yun rok lete ke hum teri manzil nahin, tera malja o mawa nahin hain? ye socha tha shayad ke khud pahle is bod ke aafrinda ban jaenge ab jo ek bahr-e-khamiyaza-kash ban gaya hai! to phir az-sar-e-nau masarrat se, nau-ras nai fatehana masarrat se paenge bhuli hui zindagi ko wahi khud-farebi, wahi ashk-shoi ka adna bahana! magar ab wahi bod sargoshiyan kar raha hai ke tu apni manzil ko wapas nahin ja sakega, nahin ja sakega mujhe maut aaegi, mar jaunga main, tujhe maut aaegi, mar jaunga main, tujhe maut aaegi, mar jaegi tu, ye ifrit pahle hazimat uthaega, mit jaega!