ana ke tukde liye khadi hai kabhi sawali hai zehn-o-dil se kabhi gila hai zamir se bhi magar kahan koi sun raha hai ye pattharon ke makan ke andar makin bhi sare hain pattharon ke liye khadi hai wo ek samundar sa aansuon ka agar kahin bandh us ke aanchal ka tut jae har ek qatra hisab mangega hashr-samaniyon ka tum se jawab aatish-nawaiyon ka jawab sahra-nawardiyon ka magar kahan hain jawab sare jawab lafzon se mawara hain