aaj se pahle mera ghar soya soya rahta tha suraj roz nikalta tha roz sawera hota tha aangan mein diwaron par dhup chamakti rahti thi ghar ki ek ek khidki mein nur ki naddi bahti thi sara sara din chhat par kage shor machate the nal niche pani pine roz kabutar aate the darwaze par dastak ki mohren chamka karti thin sard hawaen pardon mein thandi aahen bharti hain udhar idhar jati galiyan dhum machaya karti thin anjaane jaane bujhe git sunaya karti thin lekin phir bhi mera ghar soya soya rahta tha! ghar ka ek ek darwaza khoya khoya rahta tha! aaj magar ek nau-warid bachche ka rona sun kar chaunk pade diwar-o-dar jag utha hai mera ghar