ek arse se soch rahi hun ki tum ko khat likhun lekin kya likhun yahi ki andhere ke baadal chhat nahin rahe hain ya ye likhun ki khauf-o-dahshat ke sae kis tarah kam nahin ho rahe hain har taraf chikhen karahen lashen dhuan sisakti jawani bilakti mamta gum-sum bachpan ya phir bairut ki kahaniyan likhun kashmir ki sulagti wadiyon ki dastan likhun bhagal-pur ko mauzua-e-qalam thahraun ya sri-lanka ke fasane likhun is liye ki punjab mein to hadson ka hona waise hi zaruri hai jaise subh ka hona ab main tum ko tab khat likhungi jab har samt se farhat-bakhsh hawaen aaengi khushi ke paigham laengi sunahri dhup mein amn ki dewi apna aanchal lahraegi goliyon ki pur-haul aawazen koyal ke surile naghmon mein badal jaengi logon ke zehnon se nafraton ke baadal chhat jaenge tab main tum ko khat likhungi ki main bahut khush hun ummid ki tum bhi khush hoge