aasman sar par ugane mein mera hissa nahin hai ye zamin bhi kal talak jis gae ke singon tiki thi wo meri koi nahin thi aur ab jis be-badan nange khala mein tairti hai wo khala bhi main nahin hun har taraf phaili hui be-rang chehra zindagi ko main bhala kya dhaalta gosht ka jo lothda likkha hai mere nam wo bhi aur ka dhaala hua hai wo purane din bhale the jab sabhi kuchh chal raha tha nam is ka kaam us ka wo magar mere ujale bade se ghaar mein ghaarat hua hai an-ginat ilzam kilon mein tanga mera badan qatra qatra chikhta hai aur sannata mazon mein gungunata phir raha hai