main ne dhunda tumhein lamhon ke siyah-khane mein surmagin raat ka larzida sitara jaise umr jis ki ho bas ek shab ki pareshan-nazari tum ne dekha mujhe ayyam ke chatkhe hue aaine mein shama-e-khud-sokhta ki tarah pighalte hue lamha lamha barq-pa waqt ki har mauj hai khashak hain ye sham-o-sahar ye mah-o-sal koi larzida sitara koi har lahza pighalti hui sham-e-hasti raat ki banhon mein chand dahke hue angaron ki saughat liye kisi maqsum kisi mani-e-mauhum ka rishta dhunden ye bhi mumkin nahin ye bhi nahin taqdir-e-wajud barq-pa waqt ki har mauj hai simab se asnam tarashte hain kahan halqa-dar-halqa hababon hi ki zanjiren hain kya kisi khwab ke chehre se uthae koi sangin haqiqat ki naqab kyon kisi barq-sifat lamhe ka daman thame kis liye khoe hue waqt ka matam ki ye matam-kada farda bhi hai imroz bhi diroz bhi hai