ittifaqan ek pauda aur ghas bagh mein donon khade hain pas pas ghas kahti hai ki ai mere rafiq kya anokha is jahan ka hai tariq hai hamari aur tumhaari ek zat ek qudarat se hai donon ki hayat mitti aur pani hawa aur raushni waste donon ke yaksan hai bani tujh pe lekin hai inayat ki nazar phenk dete hain mujhe jad khod kar sar uthane ki mujhe fursat nahin aur hawa khane ki bhi rukhsat nahin kaun deta hai mujhe yan phailne kha liya ghode gadhe ya bail ne tujh pe munh dale jo koi jaanwar us ki li jati hai dande se khabar ole pale se bachate hain tujhe kya hi izzat se badhate hain tujhe chahte hain tujh ko sab karte hain pyar kuchh pata us ka bata ai dost-dar us se paude ne kaha yun sar hila ghas sab sachcha hai tera ye gila mujh mein aur tujh mein nahin kuchh bhi tamiz sirf saya aur mewa hai aziz faeda ek roz mujh se paenge sae mein baithenge aur phal khaenge hai yahan izzat ka sahra us ke sar jis se pahunche nafa sab ko besh-tar