kisi shahr mein ek kafan-chor aaya jo raaton ko qabron mein surakh kar ke tan-e-kushtagan se kafan khinch leta aakhir-e-kar pakda gaya aur us ko munasib saza ho gai kuchh hi din baad ek dusra chor warid hua jo kafan bhi churaata qabr ko bhi khula chhod deta dusra chor bhi rukn-e-insaf ke pas laya gaya aur mehman-e-zindan hua phir yakayak kisi tisare chor ka ghul macha jo kafan bhi churaata qabr ko bhi khula chhod deta aur murda badan ko barahana kisi rah par dal deta shahr wale jab use adalat mein lae to qazi ne us ki saza ko sunate hue faisla yun likha khudawand pahle kafan-chor ko apni rahmat mein rakhna ki wo aadmi khub tha