tera dil zara bhi zalim jo wafa-shiar hota tujhe meri qadr hoti tujhe mujh se pyar hota ye maza tha aashiqi ka ki ye haal-e-zar hota na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota teri be-rukhi ke dar se meri jaan par ban aai jo zara main khinch ke rahta tujhe nagawar hota main gham-e-jahan se ghabra ke bas itna chahta tha koi chaaragar na hota koi gham-gusar hota mera haal-e-zar sun kar kisi dil ko rahm aata meri be-qarariyon par koi be-qarar hota jo zara si der ko bhi main juda kisi se rahta to zara si der mein bhi mera intizar hota idhar apni kaamyabi se ye hoti meri haalat gham-e-hijr to na hota gham-e-wasl-e-yar hota magar is ko kya karun main ki nasib mein likha tha tere bakht-e-bad na hote to tujhe qarar hota main nawa-e-gham mein apni wo asar kahin se lata tere dil mein huk uthti jo main be-qarar hota main use bhi apne hi dil ki tarah kharab karta tere dil pe kash zalim mera ikhtiyar hota mera is ghazal se matlab tha 'jalil' sirf itna main kisi se shikwa karta koi sharmsar hota