meri nazmon ke sada-lauh qari tumhein kya ilm main barson se apni soch ke jangal mein tum ko be-sabab bhatka raha hun ba-zahir tum ko lagta hai ki meri sari nazmen dard ke tarik jangal mein tumhaari ham-safar hain magar ye sach nahin hai meri nazmon ke sare lafz kazib hain mere lahje ka sara karb jhuta hai meri nazmen to mere zehn-o-dil mein muntashir be-rabt na-asuda ummidon aur tamannaon ka maskan hain meri nazmen to meri bhi nahin hain meri nazmon ke sada-lauh qari tumhein kya ilm