mubarak tujhe o zamin ke musafir zamin-o-zaman ki haden tod kar aasmanon pe jaana hawaon se aage khalaon se aage mah-o-kahkashan ki fazaon se aage mubarak sitaron ki chilman hatana sar-e-zulf-e-nahid ko chhu ke aana dil-e-ibn-e-adam ki dhadkan sunana mubarak tujhe o zamin ke musafir zamin-o-zaman ki haden tod kar aasmanon pe jaana