gandhi ji ab bhi kahte hain

titli
jugnu

shabnam
gul

nazron ke sab dhoke hain
jagmag karte mausam ke

sare manzar jhute hain
andar se sab tute hain

pagdandi par jiwan ki
raqs-o-surud-o-nikhat ban kar

khushiyon ka kuchh ghaza mal kar
hansta hansta chehra le kar

ek rahi jab chalta hai
pal pal apne qadmon mein

kankar patthar sahta hai
kanton ko gul kahta hai

lekin gandhi ji aksar
mere sar par

thapki shafqat ki de kar
sargoshi mein kahte hain

beti
badle mausam mein

ulte-palte lamhon mein
raushan raushan lafzon se

khushbu dete lahjon se
mithi mithi nazron se

muflis bekal duniya ko
hargiz jannat mat kahna

sach ko jhuta mat karna
han ji beti mumkin ho to

qadmon se tum jiwan ke
kankar patthar kanton ko

chupke chupke chunti rahna
aur chahat ulfat rahat ki

anmit daulat deti rahna
quran gita padhti rahna

insan ban kar jiti rahna
sach ko raushan karti rahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close