suluk-e-narawa-e-dar-e-fani dekhte jao hamara haal bhi ai aan-jahani dekhte jao na jaane tum kahan ja kar achanak ho gae pinhan padi hum par jo aafat na-gahani dekhte jao bapa hai har taraf matam siyah-poshi hai har jaanib zamana kar raha hai nauha-khwani dekhte jao suhagan tha tere dam se ye hindustan ai bapu hui barbaad ab is ki jawani dekhte jao kabhi dalo nazar hindostan ke bakht-e-khufta par zara nakaamiyon ki kaamrani dekhte jao bahaaren lut gain sari ki sari wae-nakaami khizan ki har taraf hai hukmrani dekhte jao umidon ka shajar murjha gaya hum hind walon ki nihaal-e-arzu ki ye nishani dekhte jao jahan josh-e-nashat-o-aish ki har-su hukumat thi wahan yas-o-alam ki hukmrani dekhte jao chaman mein har taraf thi justuju gul ki anadil ko faqat sayyaad ko thi bad-gumani dekhte jao tumhein to dar-haqiqat chain hasil ho gaya lekin hamare bahr-e-gham ki be-karani dekhte jao kahin koi nazar aata nahin kis se kahe 'shahid' khudara haalat-e-dard-e-nihani dekhte jao