ganga ke kinare

ta-hadd-e-nazar jab nazron mein jannat ke nazare hote the
baaton mein kinae hote the nazron mein ishaare hote the
aise mein jo aansu girte the girte hi sitare hote the
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
wo raat ka sundar sannata chup sadhe hue jaise manzil
ganga ki dhadakti chhati par arman ke diye jhilmil jhilmil
pani mein larazti rahti thi chand aur sitaron ki mahfil
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
har mauj-e-rawan par lahraati hansti si rupahli ek dhaari
jaise kisi chanchal ke tan par lahrae banaras ki sari
ganga ki ada pyari pyari kuchh aur bhi hoti thi pyari
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
ashnan nigahen karti thin parkash ki chadhti naddi mein
aakash ke ubhre tare the dube hue kaif-o-masti mein
baithe nazar aate the hum tum chanda ki rupahli kashti mein
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
mahtab ki kirnen jhuk jhuk kar kuchh jal rupahli bunti thin
ganga ki qasam maujen aa kar qadmon pe sar apna dhunti thin
sab prem kathaen kahti thin sab prem kathaen sunti thin
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
yun rag sa chhede rahta tha bahta hua pani ka dhaara
jaise koi jogi raat gae gata ho baja kar ek tara
is jhumti gati ganga ka hota tha saman pyara pyara
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
armanon ki kaliyan khilti thin aashaon ke dipak jalte the
badmast hawaon ke jhonke chalte hue pankha jhalte the
raat aur hasin ho jati thi is husn se hum tum chalte the
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
ganga ke kinare aate the aazad tabiat hoti thi
bebak se hum tum rahte the bebak mohabbat hoti thi
har shai pe hukumat karte the har shai pe hukumat hoti thi
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
jaise ki 'nazir' un raaton par qudrat bhi karam farmati thi
bedar khuda kar deta tha aankhon mein agar nind aati thi
mandir mein gajar baj jata tha masjid mein azan ho jati thi
jab chandni raaton mein hum tum ganga ke kinare hote the
This is a great pyari shayari for girlfriend in hindi. True lovers of sundar chehra shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore ganga river shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close