main khuda ki takhliq karda ek aisi nazm hun jis ki naghmagi aur tarannum ruh ke taron mein rawan-dawan tumhaari fikr ke pakiza lams se jila pae magar tum jism ke jangal mein ulajh kar haiwan ban gae ho aur ruh ke aahang se mahrum rah kar nahin jaante ki khuda ne is jism mein hi malfuf karke tumhein nawaza mohabbat ke uluhi saron se gar tum mujhe pahchan lo to is zamin par misl-e-jannat apne ham-nashin ek hur pao magar ye mumkin jabhi tha ki tum apni ruh ko pak rakhte sarshaar rahte