tum jo aa jao aaj dilli mein khud ko paoge ajnabi ki tarah tum phiroge bhatakte raston mein ek be-chehra zindagi ki tarah din hai dast-e-khasin ki manind raat hai daman-e-tahi ki tarah panja-e-zar-gari o zar-giri aam hai rasm-e-rahzani ki tarah aaj har mai-kade mein hai kohram har gali hai teri gali ki tarah wo zaban jis ka nam hai urdu uth na jae kahin khushi ki tarah ham-zaban kuchh idhar udhar sae nazar aaenge aadmi ki tarah tum the apni shikast ki aawaz aaj sab chup hain munsifi ki tarah aa rahi hai nida bahaaron se ek gumnam raushni ki tarah is andhere mein ek rupahli lakir ek aawaz-e-haq nabi ki tarah!