manzum kahani hamid tha madrase ka ek honhaar bachcha juya tha ilm ka wo tha kaamgar bachcha izzat badon ki karta chhoton se pyar karta sab ko salam karta sab se adab se milta paikar khulus ka tha yun ba-tamiz tha wo apne hon ya parae sab ka aziz tha wo ek roz us ke dil mein shaitan aa samaya phir kya tha khud-numai ne sar bahut uthaya socha yunhi nahin ye logon pe dhak meri shayad yahan sabhon se unchi hai nak meri sab chahte hain mujh ko main sab ka hun dulara shayad nahin hai raushan mujh sa kisi ka tara ye sochte hain aisa maghrur ho gaya wo ikhlas-o-nek-sirat se dur ho gaya wo milne lagi shararat hi mein use to lazzat wo manta bura jab karta koi nasihat tang aa ke rafta-rafta logon ne sath chhoda yaron ne munh ko moda apnon ne rishta toda auron se dur ho kar apne mein kho gaya wo basti mein madrase mein tanha sa ho gaya wo sath us ke madrase ab sathi koi na jata ab sath wo kisi ke hargiz na khel pata ek roz raste mein dekha na us ne patthar zakhmi hua wo kafi khai jo us ne thokar khun itna bah gaya ki behosh ho gaya wo aaya jo hosh apni haalat pe ro pada wo koi na tha wahan jo us ki madad ko aata langdata aur rota us sham ghar ko pahuncha ek hafta baad us ka salana imtihan tha lekin ilaj hi mein hafta wo sara guzra din imtihan ke barish ne raste mein ghera pedon ke niche dubka chhatri na la saka tha waise to sathiyon ko us ne bahut pukara lekin kisi ko us par mutlaq taras na aaya al-qissa imtihan mein nakaam ho gaya wo tha nek-nam kal tak badnam ho gaya wo bachcho faqat kahani hargiz ise na jaano ye baat qimti hai dil se tum is ko mano bhule se bhi na hargiz dil mein ghurur aae kirdar bhi ho aisa sab ko surur aae karta hai khak jism-o-jaan ko ghurur aise sukhe hue shajar ko kha jae aag jaise