koi git sunao baji sab ka ji bahlao baji sardi aur garmi ka git sakhti aur narmi ka git rang-birange phulon ka sawan rut ke jhulon ka rim-jhim rim-jhim phuwaron ka aane wali bahaaron ka koi git sunao baji sab ka ji bahlao baji ya phir pariyon wala git albela matwala git cham-cham karte taron ka chand se ujle pyaron ka chamkila chamkila git yani rang rangila git koi git sunao baji sab ka ji bahlao baji papa aur mummy ka git dada aur dadi ka git kaise sab ne mehnat kar ke ghar aangan khushbu se bhar ke hum ko apna pyar diya hai phulon ka gulzar diya hai aisa git sunao baji sab ka ji bahlao baji achchhe bachchon wala git sachche bachchon wala git ujle ujle kapde pahne pyare pyare jute pahne jo school ko jate hain sab ke man ko bhate hain un ka git sunao baji sab ka ji bahlao baji