gudiya hamari jawan hai ab us ki shadi ka dhyan hai achchha sa gudda dikhao ji rishta koi achchha lao ji gudiya hai athaarah sal ki malik hai husn-o-jamal ki talim bhi us ne pai hai aur mehnati intihai hai gudda ho ikkis sal ka khush-khulq achchhe khayal ka gora ho ya sanwla ho wo kya dekhna us ke rang ko karta na ho wo nasha koi karta ho dhanda ya naukri panw pe apne khada ho wo achchha sambhaale jo biwi ko ho fikr us ko samaj ki aur apne bhi kaam kaj ki lalach kabhi na ho jahez ki aisa koi gudda lao ji gudiya ka haq jo ada kare apne barabar ka darja de har baat agar tum ne man li thahra lo tarikh aqd ki