gul-e-tar

ai gul-e-tar kis qadar dilkash hai nazzara tera
hamil-e-husn-e-azal hai qalb-e-si-para tera

patti patti mein teri pesh-e-nigah-e-arifan
le raha hai ek jahan-e-rang-o-bu angdaiyan

fash teri did se hai chashm-e-bina par ye raaz
jalwa-gar hai aaine ke bhes mein aaina-saz

farsh ke rangin sahife gulshan-e-fani ke phul
jaan-faza hai arsh-e-dil par ye teri shan-e-nuzul

lekin is duniya mein husn-e-chand-roza ka maal
badh raha hai teri jaanib le ke paigham-e-zawal

muntashir honge ye auraq-e-kitab-e-rang-o-bu
chaak kar degi khizan aakhir naqab-e-rang-o-bu

zeb-e-sar kar ke tujhe arman nikala jaega
panw ke niche phir ek din raund dala jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close