gurudev

ai mere shair-e-qad-awar-e-shirin-guftar
lab-e-afkar ko bakhsha hai tabassum tu ne

dil ki khamosh umangon ko zaban bakhshi hai
ruh-e-afsurda ko bakhsha hai tarannum tu ne

tere sine mein jo tha shoala-e-afkar nihan
nakhl-e-baatil ki har ek shakh jala di us ne

purabi saz pe jo tu ne tarana chheda
bazm-e-maghrib mein bhi ek aag laga di us ne

hai ye taslim gurudew watan mein tere
zindagi khak-basar aaj nazar aati hai

jis taraf dekhiye hai tira-dili ka manzar
raushni shahr-badar aaj nazar aati hai

qaul tera ye mujhe yaad hai 'tagore' magar
tirgi lakh badhe us ka hai anjam sahar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close