taklif thi tujhe magar aaram ho gaya le meri jaan tamam tera kaam ho gaya aaya tha chand din ke liye tu jahan mein aane ka chand din ke liye nam ho gaya aakhir to qaid-e-zist se chhutna tha ek roz achchha hua ki aaj hi ye kaam ho gaya dafna ke tujh ko ai mere nanhe 'hasan-jalil' khush hun ki jaise koi bada kaam ho gaya