hawa meri baat nahin samajhti hawa tumhaari baat nahin samajhti hawa hum donon se hamari baat nahin karti hamare lafz us ki samaat se phisal jate hain wo be-mani aankhon se hamein dekhti rahti hai main un ka haal kaise jaanun unhen apna haal kaise bataun jin ke ghar viran hain jin ki subhen rang se khali aur raaten chandni se mahrum hain jin ki khidkiyon par bhaari parde pade hain aur darwazon par tale lekin hawa ye baaten nahin samajhti wo to khali hath aati jati hai aur khali hath aane aur khali hath jaane walon se hamein kya lena